yahī ik jism-e-fānī jāvedānī kā ahāta karne vaalā hai
kirā.e kā makāñ hī lā-makānī kā ahāta karne vaalā hai
Thahar jaao ghaḌī bhar dhaḌkanoñ is tez-rau kā jā.eza le luuñ
sukūñ andar kā bāhar kī ravānī kā ahāta karne vaalā hai
ise aañsū samajh kar mat girāo rahne do palkoñ pe hī goyā
yahī qatra tumhārī be-zabānī kā ahāta karne vaalā hai
gila barsoñ kā hai jitnī safā.ī doge utnā tuul pakḌegā
ab harf-e-ma.azarat hī lantarānī kā ahāta karne vaalā hai
in āñkhoñ meñ ġhazal kā vo mukammal isti.āra hai ki jo 'āzim'
ḳhutūt-e-jism ke lafz-o-ma.ānī kā ahāta karne vaalā hai