Ainuddin Azim

karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karKHana hai

Ainuddin Azim

kārobārī shahroñ meñ zehn-o-dil mashīneñ haiñ jism kārḳhāna hai
jis kī jitnī āmadanī itnā hī baḌā us ke hirs kā dahāna hai
ye shu.ūr-zāde jo manfa.at-guzīda haiñ haif un kī nazroñ meñ
be-ġharaz mulāqāteñ aur ḳhulūs kī bāteñ fe.al-e-ahmaqāna hai
apnī zaat se qurbat apne naam se nisbat apne kaam se raġhbat
apnā ḳhol hī un kā ḳhitta-e-marāsim hai kū-e-dostāna hai
har ḳhushī kī mahfil meñ qahqahe luTāte haiñ ḳhud hī lūTte bhī haiñ
ġham kī majlisoñ meñ bhī sab kā apnā apnā sar apnā apnā shāna hai
jin buland shāḳhoñ par narm-rau havā.eñ haiñ bijliyoñ kā Dar bhī hai
irtiqā ke jañgal meñ hādsāt kī zad par sab kā āshiyāna hai
tarz-e-bāġhbānī meñ shiddat-e-numū-ḳhezī kaise gul khilā.egī
nīm-vā shagūfoñ ke rañg-e-dil-farebī meñ bū-e-tājirāna hai
jagmagāte bām-o-dar jhilmilāte rauzan haiñ chamchamātī dahlīzeñ
zāhirī chamak 'āzim' turra-e-sharāfat hai raunaq-e-zamāna hai
Top Urdushayar.com