Ainuddin Azim

surKH-ru sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage

Ainuddin Azim

surḳh-rū sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage
jab hue ham aañkh se ojhal nazar aane lage
shahr vaalo jaan lenā gaañv merā aa gayā
bachchiyoñ ke sar pe jab āñchal nazar aane lage
ham ne māñgī bhī duā-e-abr-e-rahmat kis ghaḌī
jab saroñ par zulm ke bādal nazar aane lage
aa.ine par aaj ke jamne na de maazī kī dhuul
taaki terā aane vaalā kal nazar aane lage
ham vahāñ tak bhī na pahuñche jis bulandī se gire
jab ki pichhḌe log bhī avval nazar aane lage
log to kahte the 'āzim' ye kabhī phaltī nahīñ
zulm kī Tahnī pe kaise phal nazar aane lage
Top Urdushayar.com