Ainuddin Azim

mere hamrah sitare kabhi jugnu nikle

Ainuddin Azim

mere hamrāh sitāre kabhī jugnū nikle
justujū meñ tirī har raat muhim-jū nikle
terī rotī huī āñkheñ haiñ mirī āñkhoñ meñ
varna patthar meñ kahāñ jaan ki aañsū nikle
saañs lene kī jasārat bhī na kar pā.ūñgā
jism se mere jo pal bhar ke liye tū nikle
ahl-e-dil yūñhī tar-o-tāza nahīñ rakhte unheñ
zaḳhm bhar jaa.eñ to mumkin nahīñ ḳhushbū nikle
zikr meñ tere gavārā nahīñ itnā bhī mujhe
mā-sivā tere koī aur bhī pahlū nikle
terī chaukhaT pe pahuñchnā hai salāmat mujh ko
jaan pyāse kī jo nikle to lab-e-jū nikle
maiñ vo nādān ki DhūñDūñ koī apne jaisā
aur ahbāb the 'āzim' ki arastū nikle
Top Urdushayar.com