Ainuddin Azim

paDho ibarat-e-taKHliq-e-dard chehre par

Ainuddin Azim

paḌho ibārat-e-taḳhlīq-e-dard chehre par
likhī hai karb kī rūdād zard chehre par
chhupā rahī hai ḳhad-o-ḳhāl jhurriyāñ ban kar
jamī huī thī safar meñ jo gard chehre par
kamāl-e-zabt to ye hai ki rañg-e-māyūsī
dam-e-shikast bhī jhalke na mard-chehre par
pighaltī kyuuñ na bhalā barf ajnabiyyat kī
nazar kī dhuup jo Thahrī thī sard chehre par
maiñ dhuul ahl-e-chaman merī qadr kyā jāneñ
mujhe sajāte haiñ sahrā-navard chehre par
har ek jism barahna lage vahāñ 'āzim'
jahāñ naqāb rakhe fard fard chehre par
Top Urdushayar.com