Ainuddin Azim

mujhi mein jita hai suraj tamam hone tak

Ainuddin Azim

mujhī meñ jiitā hai sūraj tamām hone tak
maiñ apne jism meñ aatā huuñ shaam hone tak
ḳhabar milī hai mujhe aaj apne hone kī
kahīñ ye jhuuT na ho jaa.e aam hone tak
kahāñ ye jur.at-e-iz.hār thī kisī shai meñ
sukūt-e-shab se mire ham-kalām hone tak
ye puḳhtagī thī ġhamoñ meñ na dhaḌkanoñ meñ sabāt
tumhāre dard kā dil meñ qayām hone tak
ye chāñd taare mirī dastaras se duur nahīñ
ki fāsle haiñ mire tez-gām hone tak
guzar rahe haiñ nazar se nazar milā.e baġhair
Thahar bhī jā.iye ek ek jaam hone tak
diye bujhā diye jaate haiñ sub.h tak 'āzim'
mirā havāla diyā us ne naam hone tak
Top Urdushayar.com