duniyā se duniyā meñ rah kar kaise kināra kar rakkhā hai
dekh to aa kar kis sūrat se ham ne guzāra kar rakkhā hai
pahle to ham duniyā samjhe lekin ab ehsās huā hai
josh-e-junūñ meñ ham ne ḳhud ko paara paara kar rakkhā hai
itnā nuur kahāñ se lā.ūñ tārīkī ke is jañgal meñ
do jugnū hī paas the apne jin ko sitāra kar rakkhā hai
dekh sako to dekh lo aa kar merā kamāl-e-āḳhir bhī tum
shab ke rañg se miltī lau ko kaise sharāra kar rakkhā hai
itne shoḳh kahāñ hote the mujh ko to yuuñ lagtā hai
rañgoñ ko chupke se us ne koī ishāra kar rakkhā hai