Shoaib Nizam

mil gaya jab wo nagin phir KHubi-e-taqdir se

Shoaib Nizam

mil gayā jab vo nagīñ phir ḳhūbi-e-taqdīr se
dil ko kyā kyā vahshateñ haiñ sañg kī tāsīr se
jaltā bujhtā ek jugnū kī tarah terā ḳhayāl
bas yahī nisbat hai apnī raat ko tanvīr se
phir havā ke haath par bai.at ko dil betāb hai
aañkh phir raushan huī hai gard kī tahrīr se
shab na jaane aañkh par kyā raaz ifshā kar ga.ī
ḳhvāb chaknāchūr ho kar rah ga.e ta.abīr se
ḳhud-farebī hai ki is ko āgahī kā naam duuñ
apnī qāmat nāptā hai aaj vo shamshīr se
is shikasta ghar kā girnā yuuñ lagā mujh ko 'nizām'
TuuT jaa.e ik kaḌī jaise kisī zanjīr se
Top Urdushayar.com