Shoaib Nizam

raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen

Shoaib Nizam

raat kā tārīk-tar patthar jigar paanī kareñ
ham bhalā kis ke liye ye kār-e-lā-sānī kareñ
din to din rātoñ ko bhī ye apnī man-mānī kareñ
mamlikat par dil kī yādeñ jaise sultānī kareñ
bas ga.e haiñ aañkh meñ manzar pas-e-manzar sarāb
ham kahāñ tak apne ḳhvāboñ kī nigahbānī kareñ
ik tilismī rañg meñ kho jaa.eñ jab chehre tamām
farz hai āñkhoñ pe kyā iz.hār-e-hairānī kareñ
ab to saare faisle haiñ sañg-dil rātoñ ke haath
ye agar chāheñ to phir ḳhvāboñ kī arzānī kareñ
jab udaas āñkheñ diloñ se guftugū karne lageñ
phir to lab bekār hī zikr-e-pashemānī kareñ
Top Urdushayar.com