Shoaib Nizam

TuTe hue KHwabon ke talabgar bhi aae

Shoaib Nizam

TuuTe hue ḳhvāboñ ke talabgār bhī aa.e
ai jins-e-girāñ tere ḳharīdār bhī aa.e
muddat huī sunte hue tamhīd-e-tilismāt
ab qisse meñ aage koī kirdār bhī aa.e
kyā ḳhatm na hogī kabhī sahrā kī hukūmat
raste meñ kahīñ to dar-o-dīvār bhī aa.e
ab jis ke asar meñ hai ye vīrān havelī
vo saaya kabhī to pas-e-dīvār bhī aa.e
phir shahr meñ ayyām-e-guzishta kī uḌī raakh
phir zad meñ ka.ī jubba-o-dastār bhī aa.e
pahle to sabhī tere sarāpā meñ hue gum
phir zikr meñ aage tire atvār bhī aa.e
Top Urdushayar.com