Shoaib Nizam

safar sarabon ka bas aaj kaTne wala hai

Shoaib Nizam

safar sarāboñ kā bas aaj kaTne vaalā hai
ki mere paañv se dariyā lipaTne vaalā hai
uTho ki ab to tamāzat kā zā.iqa chakh leñ
shajar kā saaya shajar meñ simaTne vaalā hai
to phir yaqīn kī sarhad meñ vaar kar mujh par
gumāñ kī dhund meñ jab tiir uchaTne vaalā hai
tū itnā jis kī ziyā-bāriyoñ pe nāzāñ hai
ġhubār-e-shab se vo chehra bhī aTne vaalā hai
ye ek saaya ġhanīmat hai rok lo varna
ye raushnī ke badan se lipaTne vaalā hai
Top Urdushayar.com