bas apnī ḳhaak par ab ḳhud hī sultānī kareñge ham
isī miTTī pe rañgoñ kī farāvānī kareñge ham
use rone do mat roko ki ronā bhī zarūrī hai
kabhī is ātish-e-sayyāl ko paanī kareñge ham
tumhāre ḳhvāb lauTāne pe sharminda to haiñ lekin
kahāñ tak itne ḳhvāboñ kī nigahbānī kareñge ham
mohabbat meñ ye sharteñ to tijārat bantī jaatī haiñ
tirī ḳhātir kahāñ tak kār-e-lā-sānī kareñge ham
bahut be-zār kar rakkhā hai ham ko kār-e-duniyā ne
kisī ke dil meñ ab kuchh roz mehmānī kareñge ham
ye rishta dostī kā lutf se ḳhālī hai so is ko
kisī tadbīr se ab dushman-e-jānī kareñge ham