kisī nādīda shai kī chaah meñ aksar badalte haiñ
kabhī āñkheñ kabhī chehra kabhī manzar badalte haiñ
kisī mahfūz goshe kī talab majbūr kartī hai
makīñ badle nahīñ jaate haiñ so ham ghar badalte haiñ
miyāñ bāzār ko sharminda karnā kyā zarūrī hai
kahīñ is daur meñ tahzīb ke zevar badalte haiñ
ye an-jāne parinde kaun se jañgal se aa.e haiñ
jo har parvāz se pahle na.e shahpar badalte haiñ
isī se sūrat-e-hālāt kī tasvīr bantī hai
usī ke Dar se ham log apnā apnā dar badalte haiñ
sitārā sā mirī āġhosh meñ kuchh to chamaktā hai
jhalak paane kī jis ko ā.īne mehvar badalte haiñ