Shoaib Nizam

daron ko chunta hun diwar se nikalta hun

Shoaib Nizam

daroñ ko chuntā huuñ dīvār se nikaltā huuñ
maiñ ḳhud ko jiit ke is haar se nikaltā huuñ
tujhe shanāḳht nahīñ hai mire lahū kī kyā
maiñ roz sub.h ke aḳhbār se nikaltā huuñ
mirī talāsh meñ us paar log jaate haiñ
magar maiñ Duub ke is paar se nikaltā huuñ
ajiib ḳhauf hai donoñ ko kyā kiyā jaa.e
maiñ qad meñ apne hī sardār se nikaltā huuñ
ab aage faisla qismat pe chhoḌ ke maiñ bhī
tilism-e-sābit-o-sayyār se nikaltā huuñ
sunī hai maiñ ne kisī samt se vahī āvāz
suno maiñ gardish-e-parkār se nikaltā huuñ
mirī talāsh meñ vo bhī zarūr aa.egā
so maiñ bhī chashm-e-ḳharīdār se nikaltā huuñ
natīja jo bhī ho jā-e-amāñ mile na mile
maiñ ab ḳharāba-e-purkār se nikaltā huuñ
Top Urdushayar.com