Shoaib Nizam

chashm-e-gardun phir tamazat apni barsane lagi

Shoaib Nizam

chashm-e-gardūñ phir tamāzat apnī barsāne lagī
phir zamīñ minna-kash-e-dariyā nazar aane lagī
phir jahān-e-tāza kī ham justujū karne lage
phir ḳharābe meñ tabī.at apnī ghabrāne lagī
kyā mayassar aa gayā mujh ko havā kā iltifāt
ab mirī āvāz shāyad duur tak jaane lagī
manzar-e-ḳhush-rañg se uktā ke āḳhir ye nazar
apnī āvāra-mizājī kī sazā paane lagī
phir kisī ke dar pe ḳhushbū de rahī hai dastakeñ
phir koī aahaT mire kānoñ se Takrāne lagī
Top Urdushayar.com