Shoaib Nizam

jo tasawwur mein hai usko koi kya raushan kare

Shoaib Nizam

jo tasavvur meñ hai us ko koī kyā raushan kare
aks-e-gum-gashta ko kaise ā.īna raushan kare
ham girāñ-goshoñ meñ harf-e-mo'tabar kahne ko haiñ
dekhiye kis kī samā.at ye sadā raushan kare
Duub jaa.e jab kabhī tārīkiyoñ meñ raushnī
ik diyā siine meñ phir us kī navā raushan kare
muntazir haiñ sab havā ke chāñd chehre aur charāg
dekhiye ye kyā bujhā de aur kyā raushan kare
āsmāñ ko chūmte shahroñ meñ fursat hai kise
is khañDar meñ kaun ye bujhtā diyā raushan kare
dhīre dhīre bujh ga.ī jitnī diloñ meñ aag thī
ab yahāñ kyā hai jise dast-e-duā raushan kare
raat ke jañgal meñ maiñ huuñ aur tirī mub.ham sī yaad
ik diyā hai ye kahāñ tak rāsta raushan kare
Top Urdushayar.com