mizāj le ke bil-āḳhir judā kidhar jaa.e
charāġh-e-dost bane haiñ havā kidhar jaa.e
diloñ se rabt hai koī na dard se rishta
koī batā.e bhalā ab duā kidhar jaa.e
har ik nigāh meñ ik ḳhauf bhī hai ḳhvāhish bhī
kise patā vo sitāra-adā kidhar jaa.e
fasīl band haiñ sab bū-e-gul ke shaidā.ī
chaman se nikle to bād-e-sabā kidhar jaa.e
har ek samt añdherā hai dekhiye kyā ho
nikal ke ghar se vo raushan qabā kidhar jaa.e