mere qadmoñ par nigūñ merā hī sar hai bhī to kyā
mere saa.e kī ye sāzish kārgar hai bhī to kyā
terī ḳhush-fahmī ke is ā.īna-e-sad-rañg meñ
aks chehre se sivā jāzib-nazar hai bhī to kyā
apne markaz se judā ho kar agar ye fikr-e-nau
dā.era-dar-dā.era garm-e-safar hai bhī to kyā
zahr kī kohna rivāyat hī kā Dar Das jā.egā
jism se lipTī ye nāgin be-zarar hai bhī to kyā
mehrbāñ qatroñ kī bārish abr-e-ā.inda meñ hai
fasl-e-imkāñ ab ke mausam be-samar hai bhī to kyā
sair-e-lā-samtī se bhī lā-hāsilī kā lutf le
reg-e-sahrā be-sadā o be-samar hai bhī to kyā