Shoaib Nizam

abr ka TukDa koi baala-e-baam aata hua

Shoaib Nizam

abr kā TukḌā koī bālā-e-bām aatā huā
mere ghar bhī sabz mausam kā payām aatā huā
dhuup kī bujhtī tamāzat kī sipar letā chalūñ
phir ufuq se dhīre dhīre vaqt-e-shām aatā huā
phir dar-e-dil par huī haiñ raushnī kī dastakeñ
phir sitāra sā koī bālā-e-bām aatā huā
ek mub.ham sā tasavvur ek be-chehra sā naam
merī tanhā.ī meñ aksar mere kaam aatā huā
koī qatre meñ samundar dekh kar sairāb hai
koī dariyā se musalsal tishna-kām aatā huā
Top Urdushayar.com