naḳhl-e-duā kabhī jab dil kī zamīñ se nikle
saa.e bhī kuchh gumāñ ke barg-e-yaqīñ se nikle
nazreñ jamā.e rakhnā ummīd ke khañDar par
mumkin hai ab ke sūraj us kī jabīñ se nikle
ḳhud se farār itnā āsān bhī nahīñ hai
saa.e kareñge pīchhā koī kahīñ se nikle
zaḳhmī anā ko yuuñ maiñ har baar chheḌtā huuñ
musbat sā ik ishāra shāyad kahīñ se nikle
uñglī meñ jab bhī us ne añgushtarī ghumā.ī
kyā kyā hasīn paikar aks-e-nagīñ se nikle