Shoaib Nizam

tera chehra dekh ke har shab subh dobara likhti hai

Shoaib Nizam

terā chehra dekh ke har shab sub.h dobāra likhtī hai
barg-e-gul par mauj-e-sabā bhī naam tumhārā likhtī hai
chappa chappa merā maazī jis ke dam se raushan hai
apne dil par vo bhī kabhī kyā naam tumhārā likhtī hai
kis kā chehra kis kī āñkheñ dekh ke kaalī lambī raat
soch meñ Duubī chupke chupke chāñd sitāra likhtī hai
be-bas kashtī paḌh letī hai fitrat kī vo bhī tahrīr
mauj-e-balā jab āb-e-ravāñ par koī ishāra likhtī hai
kārobār-e-shauq meñ ab to hālat ye aa pahuñchī hai
sub.h ziyāñ tahrīr kare to shaam ḳhasāra likhtī hai
raat kī kaalī tahrīroñ se tab tak huuñ mahfūz 'nizām'
ek sitāra jab tak ruḳh par sub.h kā taarā likhtī hai
Top Urdushayar.com