haibat-e-husn se alfāz kī hairānī tak
baat pahuñchī thī abhī chāñd kī peshānī tak
aap kyā dirham-o-dīnār liye phirte haiñ
ham to Thukrā bhī chuke taḳht-e-sulaimānī tak
vasl ke qisse to tamhīd haiñ sunte rahiye
baat pahuñchegī abhī quvvat-e-īmānī tak
qissa-e-rafta mukammal nahīñ hogā varna
zikr jaarī rahe aqdār kī arzānī tak
aap mohsin haiñ magar khel kī majbūrī hai
dil to aatā hī nahīñ raah meñ sultānī tak
us ne kuchh soch ke sahrā kī taraf moḌ diyā
pyaas bas pahuñchne vaalī thī abhī paanī tak
daf.atan vaqt ne raftār baḌhā dī varna
bhāgtā maiñ bhī rahā ik had-e-imkānī tak