zarā zarā sī baat par vo mujh se bad-gumāñ rahe
jo raat din the mehrbāñ vo ab na mehrbāñ rahe
judā.iyoñ kī lazzatoñ kī vus.ateñ nahīñ rahīñ
vo ḳhush-ḳhayāl vasl ban ke mere darmiyāñ rahe
paheliyāñ bujhāo mat bahāne ab banāo mat
yahīñ kahīñ nahīñ the tum batāo phir kahāñ rahe
vo mere saath kab na the gila karūñ jo maiñ bhalā
zarā zarā sī baat kā fuzūl kyuuñ bayāñ rahe
na jhiil koī shahr meñ talayyā-tāl bhī nahīñ
ye lashkar-e-parind phir batā.iye kahāñ rahe
mohabbateñ muravvateñ lihāz yā ḳhulūs ho
sabhī haiñ dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dāñ rahe
masarratoñ kī dhuup un ke flat meñ hai raat din
hamāre ġham kī bastiyoñ meñ karb-e-jāvedāñ rahe
zarā zarā sī baat par bichhaḌ gayā jo be-sabab
anā va zid kī kashmakash meñ ham yahāñ vahāñ rahe
ye āsmāñ kī tīrgī numā.ishoñ kī raushnī
'kañval' tumhārī raah meñ hamesha kahkashāñ rahe