apnoñ ke darmiyān salāmat nahīñ rahe
dīvār-o-dar makān salāmat nahīñ rahe
nafrat kī gard jam.a nigāhoñ meñ rah ga.ī
ulfat ke qadr-dān salāmat nahīñ rahe
raushan haiñ aarzū ke bahut zaḳhm aaj bhī
zaḳhmoñ ke kuchh nishān salāmat nahīñ rahe
aisā nahīñ ki sirf yaqīñ dar-ba-dar huā
dil ke ka.ī gumān salāmat nahīñ rahe
mahfūz bām-o-dar haiñ sadāqat ke aaj bhī
dhoke ke pandān salāmat nahīñ rahe
apnoñ se apne lahje meñ bātoñ kā hai kamāl
kuchh shaḳhs bad-zabān salāmat nahīñ rahe
vo log be-adab the 'kañval' be-ḳhulūs the
ham jaise be-zabān salāmat nahīñ rahe