zarā sā shar thā agar ḳhair se nikal jaatā
ta.alluqāt kā mafhūm hī badal jaatā
koī sunahrī kiran roz ham banā lete
ye barf hotā huā shahr kuchh pighal jaatā
kisī shajar pe mohabbat se haath rakh dete
to ghoñsloñ pe musallat azaab Tal jaatā
tane se Tek lagā.e manāte shām-e-vafā
to raat raat meñ saarā daraḳht phal jaatā
maiñ sabz bel ke mānind phailtī har sū
safed ūñche sutūnoñ pe merā bal jaatā
tire nafīs amāme ke pech yuuñ khulte
musāfiroñ ke liye sā.ebāñ meñ Dhal jaatā
kapās chuntī huī aurteñ sukhī hotīñ
jahāñ jahāñ ye zamīñ hai kisāñ kā hal jaatā
gharoñ meñ phailtī jaatī mohabbatoñ kī mahak
muġhā.irat kā dhuāñ ḳhud-ba-ḳhud nikal jaatā
ham ek dūsre kī baat rakh liyā karte
ye rakh-rakhāv sabhī fāsle nigal jaatā