Hamida Shahin

meri duniya ka mehwar muKHtalif hai

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
mirī duniyā kā mehvar muḳhtalif hai
na is meñ aa ye chakkar muḳhtalif hai
mujhe ātish-ba-jāñ rakkhā gayā hai
mirī miTTī kā jauhar muḳhtalif hai
mujhe likhne se pahle soch lenā
mirā kirdār yaksar muḳhtalif hai
maiñ ḳhvāboñ se ziyāda TūTtī huuñ
ki maujūd-o-mayassar muḳhtalif hai
zarā sī mauj par hairān mat ho
yahāñ saarā samundar muḳhtalif hai
koī mānūs ḳhushbū saath utrī
lahū bolā ye nashtar muḳhtalif hai
sitāra hai koī gul hai ki dil hai
tirī Thokar meñ patthar muḳhtalif hai
tire gītoñ kā matlab aur hai kuchh
hamārā dhun sarāsar muḳhtalif hai
safar kā rañg o ruḳh ab tak vahī hai
munādī thī ki rahbar muḳhtalif hai
kisī jānib se to aa.e bashārat
fazā badlī hai manzar muḳhtalif hai
Top Urdushayar.com