Hamida Shahin

ek jadugar hai aankhon ki basti mein

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
ik jādūgar hai āñkhoñ kī bastī meñ
taare Taañk rahā hai merī chunarī meñ
mere saḳhī ne ḳhālī haath na lauTāyā
Dheroñ dukh bāñdhe haiñ merī gaThḌī meñ
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab kī āñkheñ girvī haiñ is nagrī meñ
jin kī ḳhushbū chhed rahī hai āñchal ko
kaise phuul vo Daal gayā hai jholī meñ
jis ne mehr-o-māh ke khāte likhne hoñ
maiñ ik zarra kab tak us kī gintī meñ
ishq hisāb chukānā chāhā thā ham ne
saarī umr samā ga.ī ek kaTautī meñ
harf-e-zīst ko maut kī dīmak chaaT bhī le
kab se huuñ mahsūr badan kī ghāTī meñ
Top Urdushayar.com