dā.era sā ajiib thā ghar meñ
ghuum jaatī rahī sadā ghar meñ
ek meñ thā ḳhudā kā kuchh sāmāñ
dūsrā taaq thā mirā ghar meñ
kuchh kitābeñ haiñ aur kuchh yādeñ
in charāġhoñ se hai ziyā ghar meñ
ghar ne vo din bhī dekh rakkhe haiñ
kuchh nahīñ thā mire sivā ghar meñ
us ko manzil bhī ham samajhte haiñ
aa rahā ho jo rāsta ghar meñ
jab bujhā.ī koī lagī ham ne
har taraf se dhuāñ uThā ghar meñ
umr bhar ḳhud ko zer-e-pā rakkhā
aa.ina thā bichhā huā ghar meñ
bag meñ us ne bhar liye va.ade
ek maiñ ne bhī rakh liyā ghar meñ
jis kī ḳhātir ye dil uThā ghar se
us ne phir lā ke rakh diyā ghar meñ
bhā.iyoñ meñ fasād lāzim thā
taḳht thā aur taaj thā ghar meñ