Hamida Shahin

jis taraf se bhi milawaT ki rasad hai rad hai

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
jis taraf se bhī milāvaT kī rasad hai rad hai
ek rattī bhī agar ḳhvāhish-e-bad hai rad hai
dukh diye haiñ zar-e-ḳhālis kī parakh ne lekin
jis ta.alluq meñ kahīñ kīna-o-kad hai rad hai
amn likhnā nahīñ sīkheñ jinheñ paḌh kar bachche
un kitāboñ pe kisī kī bhī sanad hai rad hai
jab chaḌhā.ī pe mirā haath na thāmā tū ne
ab ye choTī pe jo be-faiz madad hai rad hai
is lagāvaT bhare lahje kī jagah hai dil meñ
tahniyat meñ jo riyā aur hasad hai rad hai
apnī sarhad kī hifāzat pe hai īmān magar
zindagī aur mohabbat pe jo had hai rad hai
us se kahnā ki ye tardīd koī khel nahīñ
jo mirī baat ko dohrā.e ki rad hai rad hai
Top Urdushayar.com