nikal gayā hai koī mār-dhāḌ karte hue
bharī-purī mirī āñkheñ ujaaḌ karte hue
ye rat-jage sar-e-vahshat ghasīTte haiñ mujhe
maiñ lauTtī huuñ kitāboñ ko aaḌ karte hue
ajiib tarz-e-hunar par aḌe haiñ log yahāñ
banāo siikh rahe haiñ bigāḌ karte hue
na-jāne kaun sī raa.ī adū ke haath lagī
ki nīm-jān hai us ko pahāḌ karte hue
chaTān jaisā ta.alluq bhī TuuT jaatā hai
zarā sī darz ko gahrī darāḌ karte hue
hameñ ye kaisā darinda sifāt daur milā
guzar rahā hai bahut chīr-phāḌ karte hue
yahāñ-vahāñ ke fareboñ se Tokarī bhar lī
idhar udhar se ḳhushī kā jugāḌ karte hue
adal-badal meñ hī ḳheme tabāh kar Daale
yahāñ na gaaḌ vahāñ se ukhāḌ karte hue
bhaḌak rahe ho musalsal sar-e-sukūt-o-suḳhan
kisī hasad meñ ḳhayāloñ ko bhaaḌ karte hue