malāl zard-qabā.ī ko dho rahā hogā
ragoñ kā surḳh kahīñ sabz ho rahā hogā
vo jis ke dam se gulābī thī ḳhvāb-gāh mirī
na jaane kis ke dhuñdlakoñ se so rahā hogā
mire safed kisī kā rujū maan bhī le
ki ab nahīñ vo siyah raaz go rahā hogā
vo kesarī jo mirī oḌhnī pe khul na sakā
ab apnā biich kahīñ aur bo rahā hogā
jo surma.ī meñ khilā jā rahā hai shaam Dhale
kahīñ to apnā sunahrā samo rahā hogā
male-dale se paḌe haiñ jo nīlgūñ lamhe
inhī kā zo.am samāvāt ko rahā hogā
paḌā hai rañg se aarī bunat se udhḌā huā
guzishta nuqra.ī jhilmil ko ro rahā hogā
fazā yūñhī to nahīñ malgajī huī jaatī
koī to ḳhāk-nashīñ hosh kho rahā hogā
qatīl-e-rañg na hogā vo sair-chashm kabhī
vafā kī dūdhiyā bāñhoñ meñ jo rahā hogā