jahāñ ke ruḳh pe agar khiḌkiyāñ banāte ham
to sirf saañs kī āsāniyāñ banāte ham
pahan pahan ke dikhāne ko Dher lag jaatā
ye shor kaaT ke tanhā.iyāñ banāte ham
koī to ḳhvāb ke us paar bhī pahuñch jaatā
zarā sā jāgte aur kashtiyāñ banāte ham
hamāre shahr meñ hotī na rasm-e-sañg-zanī
to canvas pe harī beriyāñ banāte ham
saḌak banāte hue tum kuchal na jaate hameñ
mohabbatoñ se bharī gāḌiyāñ banāte ham
ye Thos meñ bhī azānoñ se āshnā hotī
agar uThān meñ kuchh jāliyāñ banāte ham
tabhī gul-o-samar-o-sāya kī sanad miltī
zamīñ ko paḌhte hue kyāriyāñ banāte ham
diloñ meñ taaza havā kī chalat-phirat rahtī
ta.assubāt meñ rahdāriyāñ banāte ham
jahān-bhar ko rihā.ish kī aarzū hotī
ba-tarz-e-vasl tirī dūriyāñ banāte ham
ninānve pe jame saañp se nimaT lete
tire liye to faqat sīḌhiyāñ banāte ham