Hamida Shahin

kis kis lau par kaThi bandhi kis kis ko di bag

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
kis kis lau par kāThī bāñdhī kis kis ko dī baag
tum kyā jaano ham ne qaabū kī hai kaisī aag
das poreñ betābī se phailā.eñ lākhoñ jaal
jab raushan parde par ghaat lagā.e koī ghaag
piilī paḌte paḌte maiñ sone meñ Dhaltī jā.ūñ
phir pahre par aa baiThe vo kalġhī vaalā naag
label vo jaisā bhī oḌhe ho jaa.e ehsās
is botal meñ jin hai is kā uḌ jaanā hai kaag
phir paanī meñ Daal madhānī baiTh ga.e haiñ dost
phir merī roTī par chupḌeñge ye phīke jhaag
is bastī kī chiknī miTTī khole nāhīñ bhed
kis darvāze par dastak se khul sakte haiñ bhaag
sarsoñ ke phūloñ meñ ek gulābī lahr chale
jab rañgoñ se rūThī naarī toḌan aa.e saag
kis chullū meñ Daale jaa.eñ saat suroñ ke ashk
kin hāthoñ meñ āḳhir ThanDā hogā dīpak raag
Top Urdushayar.com