rahīn-e-ḳhvāb-e-gum-gashta hamāre sāmne mat aa
jahāñ bhar meñ ho vārafta hamāre sāmne mat aa
dhamāke se uḌāte jā.eñge ab raah kī har shai
banāne de hameñ rasta hamāre sāmne mat aa
tasādum ke alāva an-ginat zimnī masā.il haiñ
tirī hastī se vābasta hamāre sāmne mat aa
navāh-e-chashm kā mausam badalnā hai ta.āvun kar
yahī bas ek do hafta hamāre sāmne mat aa
munāfiq phuul bhī laa.e to kāñTe saath aate haiñ
uThā apnā ye guldasta hamāre sāmne mat aa
ḳhudārā cameroñ aur ā.inoñ se ma.azarat kar lī
hamāre aks-e-rū-ḳhasta hamāre sāmne mat aa
hamāre sāmne phaile savāloñ se bhare naqshe
tujhe kar deñge ḳhud-rafta hamāre sāmne mat aa
agar tū sāmne aayā to khul jā.eñge pushtāre
hameñ rahne de lab-basta hamāre sāmne mat aa
ġharaz-dārī kī ḳhār-āvar mohabbat-ḳhor beleñ haiñ
tire paikar se paivasta hamāre sāmne mat aa
hameñ pahle qadam se ilm hai ye dhuul kis kī hai
aqab meñ hai tirā dasta hamāre sāmne mat aa
kabhī vo sāmne aa.e to ham haT bhī nahīñ sakte
kahe jaate haiñ bar-jasta hamāre sāmne mat aa