Hamida Shahin

pyar isar wafa sher-o-hunar ki baaten

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
pyaar īsār vafā sher-o-hunar kī bāteñ
ab to lagtī haiñ kisī aur nagar kī bāteñ
koī sūrat na rihā.ī kī banī to jaanā
ham to dīvār se karte rahe dar kī bāteñ
vaqt aayā to zabānoñ ko bhī jumbish na huī
log karte the bahut teġh kī sar kī bāteñ
ye haiñ maġhrūr parinde unheñ Darne do abhī
baiTh jā.eñge agar chheḌ deñ ghar kī bāteñ
ḳhaak se joḌ liyā hai vo ta.alluq ki hameñ
raas aatī nahīñ shams-o-qamar kī bāteñ
paañv resham ke gadīloñ se utarte hī nahīñ
aur har-vaqt haiñ kāñToñ pe safar kī bāteñ
āsmāñ dekh ke 'shāhīn' ye dil chāhtā hai
koī kartā rahe parvāz kī par kī bāteñ
Top Urdushayar.com