khel meñ kuchh to gaḌbaḌ thī jo aadhe ho kar haare log
aadhe log nirī miTTī the aadhe chāñd sitāre log
is tartīb meñ koī jaanī būjhī be-tartībī thī
aadhe ek kināre par the aadhe ek kināre log
us ke nazm-o-zabt se bāhar honā kaise mumkin thā
aadhe us ne saath milā.e aadhe us ne maare log
aaj hamārī haar samajh meñ aane vaalī baat nahīñ
us ke puure lashkar meñ the aadhe aaj hamāre log
kis ke saath hamārī yak-jānī kā manzar ban paatā
aadhe jaan ke dushman the aur aadhe jaan se pyāre log
in par ḳhvāb havā aur paanī kī tabdīlī lāzim hai
aadhe phīke be-ras ho ga.e aadhe zahr tumhāre log
aadhī raat huī to ġham ne chupke se dar khol diye
ādhoñ ne to aañkh na kholī aadhe aaj guzāre log
ādhoñ aadh kaTī yakjā.ī phir dūjoñ ne bīchoñ-bīch
aadhe paañv ke nīche rakkhe aadhe sar se vaare log
aisā band-o-bast hamāre haq meñ kaisā rahnā thā
halke halke chun kar us ne aadhe paar utāre log
kuchh logoñ par shīshe ke us jānib honā vājib thā
dhaar pe chalte chalte ho ga.e aadhe aadhe saare log