jagah de do zarā sī dekhne ko
mirī āñkheñ haiñ pyāsī dekhne ko
unheñ aane do mere aa.ine tak
jo aa.e haiñ udāsī dekhne ko
tirī puujā ko aayā hai zamāna
tirī ye ek udāsī dekhne ko
ta.affun hai rukāvaT hai ghuTan hai
yahāñ hai bas nikāsī dekhne ko
saḌak ho ghar ho yā dīvār-e-ḳhalvat
vahī manzar hai baasī dekhne ko
yahāñ sab pārsā bin pārsā haiñ
nahīñ hai koī aasī dekhne ko
kasī ne kuchh nahīñ dekhā abhī tak
lagī hai bhiiḌ ḳhāsī dekhne ko