Hamida Shahin

kis hiddat se guzre kaise phul hue

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
kis hiddat se guzre kaise phuul hue
kyā mausam thā jab añgāre phuul hue
chhāchh bilone vaalī muddat ba.ad hañsī
dīvāroñ par chaspāñ uple phuul hue
resha buntī makḌī ḳhushbū meñ Duubī
ik aahaT par saare jaale phuul hue
us dar ke phūloñ kā aalam kyā hogā
jis ko chhū kar mere jaise phuul hue
ghar ne dekh liyā aate pardesī ko
khil uTThe darvāze taale phuul hue
chauk meñ ik tasvīr lagā.ī phūloñ kī
dekhā dekhī chāroñ raste phuul hue
ham haiñ jin par ma.anī badle jaate haiñ
ham haiñ jin par kañkar tere phuul hue
itnī mohlat khilne aur mahakne kī
ġham ne dī aur ham bhī us ke phuul hue
kāñTe us zarḳhez nazar ke shaidā.ī
jo bhī is meñ aan samā.e phuul hue
jab tak harf raheñge tum bhī mahkoge
tum mere ash.ār meñ aa.e phuul hue
Top Urdushayar.com