Hamida Shahin

Dhalani tez raftari mein daKHl-andaz mat ho

Hamida Shahin

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
Dhalānī tez raftārī meñ daḳhl-andāz mat ho
kisī biphre hue sailāb kā āġhāz mat ho
mohabbat iḳhtitāmī antare par aa na jaa.e
kisī jañgī tarāne kā bhaḌaktā saaz mat ho
khañDar hotī huī duniyā meñ terā giit gūñje
nayā āġhāz ban jā āḳhirī āvāz mat ho
yahāñ itne diye haiñ to kisī se lau lagā le
mirī āñkhoñ meñ raushan rah nazar-andāz mat ho
tū apnī raushnī kā haath pakḌe bhar uḌāneñ
kisī kī dhuñd meñ āmāda-e-parvāz mat ho
ye duniyā dekhtī rah jaa.e aisā ḳhvāb ho jā
magar tārīk lamhe kā kabhī hamrāz mat ho
bajā le sīTiyāñ na.are lagā parde girā de
magar apne kahānī-kār se nārāz mat ho
Top Urdushayar.com