bhañvar bantī huī rāteñ hamārī
kināre par munājāteñ hamārī
na.ī duniyā meñ kis ne pūchhnā hai
kahāñ nisbat hai kyā zāteñ hamārī
kabhī ham vaqt se aage bhī the jab
hameñ azbar thiiñ auqāteñ hamārī
barasne kī lagan meñ bhuul baiThe
haiñ kin ḳhatoñ pe barsāteñ hamārī
zamāne se zamāna kar rahā hai
kabhī ham se kare bāteñ hamārī
shikārī bhī hamī ham hī nishāna
baḌī pur-pech haiñ ghāteñ hamārī
salāḳheñ chūmne aate haiñ saare
yahīñ tak haiñ mulāqāteñ hamārī