Nadeem Mahir

zaKHmon ko kureda hai to mazi nikal aaya

Nadeem Mahir

zaḳhmoñ ko kuredā hai to maazī nikal aayā
sūkhe hue dariyāoñ se paanī nikal aayā
us shaḳhs ko paḌhne meñ baḌī chuuk huī thī
vo dost thā jo dushman-e-jānī nikal aayā
tishna the bahut dhuup meñ bhīge hue manzar
kal raat to sūraj se hī paanī nikal aayā
jo shaḳhs nahīñ jāntā islām ke ma.anī
hairat hai ki islām kā daa.ī nikal aayā
go us ne ġhazal apne buḌhāpe meñ kahī hai
ġhazloñ meñ magar rañg-e-javānī nikal aayā
Top Urdushayar.com