Habab Hashmi

ab talak tund hawaon ka asar baqi hai

Habab Hashmi

ab talak tund havāoñ asar baaqī hai

ik charāġh aur sar-e-rāhguzar baaqī hai

vo hamārī nahīñ suntā to gila hai kaisā

ab kahāñ apnī duāoñ meñ asar baaqī hai

dil meñ baaqī haiñ faqat chand lahū ke qatre

ab mire paas yahī zād-e-safar baaqī hai

phir banā leñge usī pe nasheman apnā

āshiyāñ jis pe thā vo shāḳh-e-shajar baaqī hai

ma.asiyat ashk nadāmat se bhī dhul jaatī hai

mutma.in huuñ ki abhī dīda-e-tar baaqī hai

jab vo chāhe mujhe do-nīm kare aa ke 'habāb'

dast-e-qātil meñ yahī ek hunar baaqī hai

Top Urdushayar.com