ḳhud pe vo faḳhr-kunāñ kaisā hai
us ko apne pe gumāñ kaisā hai
koī jumbish hai na aahaT na sadā
ye jahān-e-guzarāñ kaisā hai
dil dhaḌakne kī bhī āvāz nahīñ
sāneha kāhish-e-jāñ kaisā hai
aaj tak zaḳhm hare haiñ dil ke
marham-e-chāra-garāñ kaisā hai
us se nazdīk nahīñ hai koī
vo qarīb-e-rag-e-jāñ kaisā hai
gul khulā hī ga.ī lailā-e-bahār
shor-e-āshufta-sarāñ kaisā hai
ham kaḌī dhuup ke aadī the 'habāb'
sar pe ye abr-e-ravāñ kaisā hai