Diary meñ likh ke mere tazkire rakh chhoḌnā
phir kabhī un par lagā kar hāshiye rakh chhoḌnā
yaad kī album sajā kar gosha-e-dil meñ kahīñ
kaam ā.eñge vafā ke silsile rakh chhoḌnā
ye bhī kyā pahle dikhā kar manziloñ ke rāste
phir diloñ ke darmiyāñ kuchh fāsle rakh chhoḌnā
kyā ḳhabar kab lauT aa.eñ ajnabī desoñ se vo
peḌ par mahfūz un ke ghoñsle rakh chhoḌnā
dard ke raste 'hasan'-nāsir ravāñ rahte to haiñ
har qadam par tum magar raushan diye rakh chhoḌnā