manzar meñ agar kuchh bhī dikhā.ī nahīñ degā
koī bhī tire haq meñ safā.ī nahīñ degā
vo chāñd jo utrā hai kisī aur ke ghar meñ
mujh ko to añdheroñ se rihā.ī nahīñ degā
ḳhud apnī zabānoñ se lahū chāTne vaalo
zālim tū sitam kar ke duhā.ī nahīñ degā
sahmī hai samā.at ki koī lafz hī gūñje
ik shor ki phir kuchh bhī sunā.ī nahīñ degā
dahlīz ke us paar bhī pahuñchegā bil-āḳhir
kab tak ye lahū us ko dikhā.ī nahīñ degā
jo shaḳhs kamā.egā vahī khā.egā 'nāsir'
auroñ ko koī apnī kamā.ī nahīñ degā