Kalidas Gupta Raza

azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai

Kalidas Gupta Raza

Sikanderpur, Punjab, India

1925-2001
azal se tā-ba-abad ek hī kahānī hai
isī se ham ko na.ī dāstāñ banānī hai
ujaḌ to saktā hai lekin badal nahīñ saktā
vo haq-shanās jo ik ahd kī nishānī hai
ḳhirad kī bāteñ kahāñ tak karoge dīvāno
ḳhirad ke naam pe kuchh ḳhaak bhī uḌānī hai
tumhāre rañg-e-jafā ko bhī hai qayām kahīñ
hamāre ishq kī manzil to kāmrānī hai
faqat samajhne ke andāz haiñ qadīm o jadīd
fasāna-go ke to lab par vahī kahānī hai
hayāt laakh ho faanī magar ye sun rakhiye
hayāt se jo hai maqsūd ġhair-fānī hai
sunī-sunā.ī pe tarjīh laakh baar us ko
kitāb-e-dil kī 'razā' baat āsmānī hai
Top Urdushayar.com