ye lamhāt-e-nau merā kyā le ga.e
kuchh aañsū gire the uThā le ga.e
nadī naale qadreñ bahā le ga.e
vafā le ga.e mudda.ā le ga.e
kise DhūñDte ho khaḌī naav par
sabhī fāsle nā-ḳhudā le ga.e
ye kaise jhakole the pindār ke
mujhe pañkh de kar uḌā le ga.e
chunā rahnumā un ko ye kyā kiyā
kahāñ se kahāñ naqsh-e-pā le ga.e
ghar āñgan meñ sone kā sūraj kahāñ
kiran tak paḌosī churā le ga.e
laboñ par kahīñ 'kālī-dās' ab nahīñ
baḌe naam 'guptā-razā' le ga.e