manzil kī dhuum dhaam se jab jī uchaT gayā
rah-gīr jaise saiñkaḌoñ rastoñ meñ baT gayā
afsos dil tak aane kī rāheñ na khul sakīñ
koī faqat ḳhayāl tak aa kar palaT gayā
ham taul baiThe sub.h-dam insāñ ko saa.e se
sūraj ke sar pe aate hī saayā simaT gayā
kyā jaane kis chaTān se Takrā gayā hai dil
chaltā huā safīna achānak ulaT gayā
ab koī DhūñD-DhāñD ke laao nayā vajūd
insān to bulandi-e-insāñ se ghaT gayā
manzil pe gard-e-vahm-o-gumāñ thī vo dhul ga.ī
raste meñ aql o hosh kā patthar thā haT gayā
mahfil bhī nūr-bār hai saaqī bhī ḳhum ba-dosh
mere hī naav nosh kā meyār ghaT gayā
manzil kahīñ milī na milī lekin ai 'razā'
manzil ke ishtiyāq meñ rastā to kaT gayā