baat agar na karnī thī kyuuñ chaman meñ aa.e the
rañg kyuuñ bikherā thā phuul kyuuñ khilā.e the
be-karāñ ḳhalāoñ kī had bhī bāñdh denī thī
jab zamīñ banā.ī thī āsmāñ banā.e the
be-adab na the ham kuchh apnī bhuul itnī thī
aap tak pahuñch kar bhī aap meñ na aa.e the
āñsuoñ kī chādar ne Dhak diyā hameñ varna
maañg bhī sajā.ī thī ḳhvāb bhī sajā.e the
aaj tere charnoñ kā ruup hī nirālā hai
aaj phuul puujā ke dhuul se uThā.e the
ai 'razā' haqīqat to ab gale paḌī varna
boī thiiñ ghaTā.eñ bhī chāñd bhī ugaa.e the