qalam uThā.ūñ musalsal ravāñ-davāñ likh duuñ
koī paḌhe na paḌe maiñ kahāniyāñ likh duuñ
jahāñ tak aa.eñ tasavvur meñ vādiyāñ likh duuñ
phir un pe naam tumhārā yahāñ vahāñ likh duuñ
jahāñ mile mujhe roTī use likhūñ dhartī
jahāñ pahuñch na sakūñ us ko āsmāñ likh duuñ
nikal chalūñ kahīñ husn-o-junūñ ke jañgal meñ
hiran kī aañkh meñ kājal kī Doriyāñ likh duuñ
kahānī ḳhatm huī lekin is kā kyā kiije
jo lafz yaad ab aa.e unheñ kahāñ likh duuñ
jo zehn meñ haiñ hurūf un ko kaam meñ lā.ūñ
jo dukh paḌe hī na hoñ un kī dāstāñ likh duuñ
kuchh aisā patr likhūñ aap ko jo bhā jaa.e
marā huuñ aap ke gin apnī ḳhāmiyāñ likh duuñ
ġhazal to kah duuñ 'razā' ye bhī to ijāzat ho
jise tū hindavī kahtā thā vo zabāñ likh duuñ